yaqin chand pe suraj mein etibar bhi rakh

yaqin chand pe suraj mein e'tibar bhi rakh
magar nigah mein thoda sa intizar bhi rakh

khuda ke hath mein mat saunp sare kaamon ko
badalte waqt pe kuchh apna ikhtiyar bhi rakh

ye hi lahu hai shahadat ye hi lahu pani
khizan nasib sahi zehn mein bahaar bhi rakh

gharon ke taqon mein gul-daste yun nahin sajte
jahan hain phul wahin aas-pas khar bhi rakh

pahad gunjen nadi gae ye zaruri hai
safar kahin ka ho dil mein kisi ka pyar bhi rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close