yaqin hai ki guman hai mujhe nahin malum ye aag hai ki dhuan hai mujhe nahin malum ye har taraf hai koi mahfil-e-tarab barpa ki bazm-e-gham-e-zadagan hai mujhe nahin malum liye to phirta hun ek mausam-e-wajud ko main bahaar hai ki khizan hai mujhe nahin malum wo rang-e-gul to usi khak mein ghula tha kahin magar mahak wo kahan hai mujhe nahin malum khabar to hai ki yahin qarya-e-malal bhi hai ye kaun mahw-e-fughan hai mujhe nahin malum main tujh se dur usi dasht-e-na-rasi mein hun gum idhar tu nauha-kunan hai mujhe nahin malum ye dagh-e-ishq jo mitta bhi hai chamakta bhi hai ye zakhm hai ki nishan hai mujhe nahin malum guzarta jata hun ek arsa-e-gurez se main ye la-makan ki makan hai mujhe nahin malum rawan-dawan to hai ye ju-e-zindagi har dam magar kidhar ko rawan hai mujhe nahin malum ye kashmakash jo man-o-tu ke darmiyan hai so hai miyan-e-sud-o-ziyan hai mujhe nahin malum ye ku-e-khak hai ya phir dayar-e-khwab koi zamin hai ki zaman hai mujhe nahin malum yahin kahin pe wo khush-ru tha aaj se pahle magar wo aaj kahan hai mujhe nahin malum