yaqin ki had ko ja pahuncha jo pahle tha guman apna

yaqin ki had ko ja pahuncha jo pahle tha guman apna
wahi mujrim nikal aaya jo thahra raaz-dan apna

meri hasti ka ab ehsas khud mujh mein nahin baqi
dar-o-diwar se main puchhta hun khud nishan apna

dayar-e-ghair mein ummid wo bhi dil-nawazi ki
tasalli dil ko mil jati jo hota ham-zaban apna

tumhaare hijr mein jaanan ye kaisa haal hai mera
na zat-e-la-makan apni na imkan-e-makan apna

hai maqtal mein meri gardan pe khanjar us pari-wash ka
yahi tha mashghala us ka yahi tha imtihan apna

tujhe sahra-nawardi se 'qamar' kitni mohabbat hai
jala dala hai khud hathon se apne aashiyan apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close