yar hai aaina hai shana hai chashm-e-bad-dur kya zamana hai jhankne takne ka waqt gaya ab wo hum hain na wo zamana hai wahshat-angez hai nasim-e-bahaar kya junun-khez ye zamana hai saqiya arsh par hai apna dimagh sar hai aur tera aastana hai dagh-e-hasrat se dil ho malamal yahi daulat yahi khazana hai mahsharistan-e-arzu-e-visal dil hai kya ek kar-khana hai lo bujha chahta hai dil ka kanwal khatm ab ishq ka fasana hai kya kahin ud ke ja nahin sakte wo chaman hai wo aashiyana hai 'yas' ab aap mein na aaenge wasl ek maut ka bahana hai