yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main

yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main
mujh ko samet lo ki bikharne laga hun main

chhu kar bulandiyon se utarne laga hun main
shayad nigah-e-waqt se darne laga hun main

par taulne lagi hain jo unchi udan ko
un khwahishon ke pankh katarne laga hun main

aata nahin yaqin ki un ke khayal mein
phir aaftab ban ke ubharne laga hun main

kya baat hai ki apni tabiat ke bar-khilaf
de kar zaban 'faragh' mukarne laga hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close