ye aankh tanz na ho zakhm-e-dil hara na lage mujhe qarar to ho ya use haya na lage fishaar-e-jaan ho to kaifiyat-e-mukammal ho wo iztirab to ho iztirab sa na lage wo ru-ba-ru ho to aaraish-e-bayan bhi na ho ki main kahun to kisi aur ka kaha na lage muamalat-e-mohabbat mizaj rakhte hain tabiaten hon jo yaksan to fasla na lage khizan-rasida chaman mein bhi jhulti ho bahaar gulon se rang kali se mahak juda na lage yahi to hoti hai waz-e-shaguftan-e-mahtab miyan-e-abr ho ya aasman khula na lage wahi to dard hai jo dard-e-ma-siwa samjhe rifaqaten hon to aalam nigar-khana lage alam to khair alam hai ki paedar nahin wabaal hai jo khushi bhi gurez-pa na lage ulajh rahi hain khayali udan se aankhen kahin nawishta-e-diwar be-sada na lage