ye bhul bhi kya bhul hai ye yaad bhi kya yaad tu yaad hai aur koi nahin tere siwa yaad us husn-e-talluq ka ada shukr ho kyun-kar main ne jo kiya yaad to us ne bhi kiya yaad us mard-e-khuda-mast ki kya baat hai 'akbar' jis ko na raha kuchh bhi bajuz yaad-e-khuda yaad