ye dekh mere naqsh-e-kaf-e-pa mere aage

ye dekh mere naqsh-e-kaf-e-pa mere aage
aage bhi kahan jata hai rasta mere aage

ai tishna-labi tu ne kahan la ke duboya
is bar to dariya bhi nahin tha mere aage

aise nahin manunga main hasti ka tawazun
taqtia kiya jae ye misra mere aage

ai qamat-e-dil-dar-e-guzistha ki muafi
pahle koi mear nahin tha mere aage

kyunkar sukhan aaghaz kiya jae ki wo aankh
la rakhti hai ajdad ka likkha mere aage

hairat hai ki deti hain mujhe tana-e-wahshat
tartib se rakkhi hui ashya mere aage

main jaanta hun us ke sabhi bhed sabhi bhaw
duniya ne kabhi raqs kiya tha mere aage

main ishq ke aadab zara sikh lun pahle
baithegi adab se yahi duniya mere aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close