ye hadisa bhi sar-e-rahguzar hona tha

ye hadisa bhi sar-e-rahguzar hona tha
teri talash mein mujh ko ghubar hona tha

uchak liya hai unhen bhi khizan ke mausam ne
wo phul-pat ki jin ko bahaar hona tha

hamein khabar thi teri tarz-e-baadshahi se
hunar-warow ko hi be-ikhtiyar hona tha

unhi ke hath gareban mein pade hue hain
jinhen sada se hi khidmat-guzar hona tha

guman ki dhul mere dil pe mal gaya hai wahi
wo shakhs jis ko mera e'tibar hona tha

bharosa ghair ki chhanw pe hum na karte agar
saron pe saya-e-parwardigar hona tha

badal diya unhen mitti ke bartanon mein 'nabil'
wo chizen jin ko bahut paedar hona tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close