ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad

ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad
ghazal kisi ko kaha hi nahin hai tere baad

hai pur-sukun samundar kuchh is tarah dil ka
ki jaise chand khila hi nahin hai tere baad

mahakti raat se dil se qalam se kaghaz se
kisi se rabt rakha hi nahin hai tere baad

khayal khwab fasane kahaniyan thin magar
wo khat tujhe bhi likha hi nahin hai tere baad

kahan se mahkegi honton pe lams ki khushbu
kisi ko main ne chhua hi nahin hai tere baad

charagh palkon pe 'azar' kisi ki yaadon ka
qasam khuda ki jala hi nahin hai tere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close