ye jo phaila hua zamana hai is ka raqba gharib-khana hai koi manzar sada nahin rahta har talluq musafirana hai des pardes kya parindon ka aab-o-dana hi aashiyana hai kaisi masjid kahan ka but-khana har jagah us ka aastana hai ishq ki umr kam hi hoti hai baqi jo kuchh hai dostana hai