ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein

ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein
ki ye aasman-o-zamin jahan na nasheb mein na faraaz mein

tu darun-e-khana barun-e-dar tu hazar pardon mein jalwa-gar
are o haqiqat-e-parda-war teri shokhiyan mein majaz mein

wahi aae arsh se farsh tak wahi chhae farsh se arsh tak
mile aise zarre hazar-ha hamein khak-e-rah-e-majaz mein

kahin tez hai kahin narm hai yahi aanch mutrib-e-khush-nawa
mere nale mein tere naghme mein mere soz mein tere saz mein

tere sajde mein wo maza mila ki tadap ke sine se aa raha
koi dagh hai ki hai dil mera ye meri jabin-e-niyaz mein

ye udaenge kabhi rang bhi ye dikhaenge kabhi rang bhi
yahi laenge kabhi rang bhi jo rangen hain rang-e-majaz mein

ghadi jis ki hashr ka ek din shab-gor jis ka har ek pal
wo maze hain hasrat-e-marg mein jo khizr ki umr-e-daraaz mein

use lag ishq ki kahte hain use aag ishq ki kahte hain
na junun hai ye junun mein na koi ye raaz hai raaz mein

jinhen log kahte hain duzd-e-mai wo khuda-parast 'riyaz' hain
ye suna hai kal ki janab hi pas-e-khum the mahw namaz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close