ye kaisi aag abhi ai shama tere dil mein baqi hai

ye kaisi aag abhi ai shama tere dil mein baqi hai
koi parwana jal marne ko kya mahfil mein baqi hai

hazaron uth gae duniya se apni jaan de de kar
magar ek bhid phir bhi kucha-e-qatil mein baqi hai

hue wo mutmain kyun sirf mere dam nikalne par
abhi to ek duniya-e-tamanna dil mein baqi hai

hua tha gharq bahr-e-ishq is andaz se koi
ki naqsha dubne ka dida-e-sahil mein baqi hai

qaza se koi ye kah de ki mushtaq-e-shahadat hun
abhi ek marne wala kucha-e-qatil mein baqi hai

kahan fursat hujum-e-ranj-o-gham se hum jo ye jaanchen
ki nikli kya tamanna kya tamanna dil mein baqi hai

abhi se apna dil thame hue kyun log baithe hain
abhi to hashr uthne ko teri mahfil mein baqi hai

wahan the jama jitne marne wale mar gae wo sab
qaza le-de ke bas ab kucha-e-qatil mein baqi hai

abhi se tu ne qatil myan mein talwar kyun rakh li
abhi to jaan thodi si tan-e-'bismil' mein baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close