ye khet sabza shajar rahguzar sannata uga hai dur talak be-shumar sannata hamare khwab koi aur dekh leta hai hamari aankh khala intizar sannata wo kushta-e-rah-e-saut-o-sada hua shayad wo ek lafz tha jis ka hisar sannata hai lafz lafz mein bujhte makalmon ka dhuan sukut-e-ishq hai ya be-qarar sannata kabhi to chhed koi saz koi naghma-e-jaan kabhi to apne badan se utar sannata