ye KHwab aur bhi dekhenge raat baqi hai

ye khwab aur bhi dekhenge raat baqi hai
abhi to ai dil-e-zinda hayat baqi hai

mere lahu mein abhi tark-e-ishq ke ba-wasf
wo garmi-e-nigah-e-iltifat baqi hai

abhi to zauq-e-talab mein kami nahin aai
abhi mera safar-e-be-jihat baqi hai

jo ho sake to shahadat-gah-e-nazar mein aa
ye dekh ishq mein kitna sabaat baqi hai

ye kaenat abhi ek intizar mein hai
ki hone wali koi wardat baqi hai

khud apni rakh se tu ji uthe sharar ki tarah
ye moajiza abhi ai kaenat baqi hai

shab-e-visal mein din bhi mila na len ai dost
ki raat khatm hui aur baat baqi hai

hui hai shakh-e-hunar mein nai numu ab ke
'salim' barg-e-khizan se najat baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close