ye kis ne shaKH-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di

ye kis ne shakh-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di
ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kanton par zaban rakh di

suna tha qissa-khwan koi naya qissa sunaega
hamare munh pe zalim ne hamari dastan rakh di

khulus-e-dil se sajda ho to us sajde ka kya kahna
wahin kaba sarak aaya jabin hum ne jahan rakh di

uthaya main ne sham-e-hijr lutf-e-guftugu kya kya
tasawwur ne teri taswir ke munh mein zaban rakh di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close