ye kis se aaj barham ho gai hai

ye kis se aaj barham ho gai hai
ki zulf-e-yar pur-kham ho gai hai

tapak padte hain waqt-e-subh aansu
ye aadat misl-e-shabnam ho gai hai

ba-zahir garm hai bazar-e-ulfat
magar jins-e-wafa kam ho gai hai

zahe tasir-e-ku-e-khak-e-jaanan
mere zakhmon pe marham ho gai hai

bas ai dast-e-ajal kuchh rahm bhi kar
ki duniya bazm-e-matam ho gai hai

nahin khauf-e-shab-e-hijran mujhe ab
meri gham-khwar o hamdam ho gai hai

yahi haalat hai ek muddat se 'mahrum'
tabiat khugar-e-gham ho gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close