ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain

ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain
bahut achchha-bhala chhoda tha ab bimar kaise

wo mujh se puchhne aai hai kuchh likkha nahin mujh par
main us ko kaise samjhaun mere ashaar kaise hain

meri sochen hain kaisi kaun in sochon ka markaz hai
jo mere zehn mein palte hain wo afkar kaise hain

mere dil ka alawon aaj tak dekha nahin jis ne
wo kya jaane ki shoale surat-e-izhaar kaise hain

ye mantiq kaun samjhega ki yakh-kamre ki thandak mein
mere alfaz ke malbus shoala-bar kaise hain

zara si ek farmaish bhi puri kar nahin sakte
mohabbat karne wale log bhi lachaar kaise hain

judai kis tarah bartaw hum logon se karti hai
mizajan ham-sukhnawar be-dil-o-be-zar kaise hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close