ye log KHwab bahut karbala ke dekhte hain

ye log khwab bahut karbala ke dekhte hain
magar ghanim ko gardan jhuka ke dekhte hain

suna hai barf-ruten raushni se darti hain
so ek charagh ko hum bhi jala ke dekhte hain

unhen kaho ki kabhi jangalon ki samt bhi aaen
jo bastiyon mein karishme khuda ke dekhte hain

junun mein koi izafa nahin hai muddat se
ghubar-e-jism bhi ab ke uda ke dekhte hain

ye dil hai thahri hui jhil ki tarah kab se
ab is mein phir koi patthar gira ke dekhte hain

phir ek khayal ko zanjir kar diya hum ne
phir ek nam ko dil se mita ke dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close