ye na puchho ki waqia kya hai kis ki nazron ka zawiya kya hai sab hain masruf kaun batlae aadmi ka ata-pata kya hai chalta jata hai karwan-e-hayat ibtida kya hai intiha kya hai jo kitabon mein hai wo sab ka hai tu bata tera tajraba kya hai kaun rukhsat hua khudai se har taraf ye khuda khuda kya hai