ye qatra-e-shabnam nahin ai soz-e-jigar aaj dubi hui aae hai pasinon mein sahar aaj be-wajh nahin fitrat-e-shokhi ka guzar aaj tum aankh mila kar jo churaate ho nazar aaj wo aae ayaadat ko to aai hai qaza bhi mehman hue ek waqt mein do do mere ghar aaj arman nikalne diye kis sokhta-dil ka hai wasl ki shab bol na ai murgh-e-sahar aaj wo kaba-e-dil todte hain sang-e-jafa se barbaad hua jata hai allah ka ghar aaj har ashk ke daman mein hai ek manzar-e-tufan kya dub hi jaegi ye kashti-e-nazar aaj dubi hui nabzen ye pata deti hain mujh ko ai 'auj' na hogi shab-e-furqat ki sahar aaj