ye roz hashr ka aur shikwa-e-wafa ke liye

ye roz hashr ka aur shikwa-e-wafa ke liye
khuda ke samne to chup raho khuda ke liye

ilahi waqt badal de meri qaza ke liye
jo koste the wo baithe hain ab dua ke liye

bhanwar se naw bache tere bas ki baat nahin
khuda pe chhod de ai nakhuda khuda ke liye

hamare waste marna to koi baat nahin
magar tumhein na milega koi wafa ke liye

hazar bar mile wo magar nasib ki baat
kabhi zaban na khuli arz-e-muddaa ke liye

koi zarur hai didar-e-akhiri mein naqab
hazar waqt pade hain teri haya ke liye

mujhe mita to rahe ho maal bhi socho
khata muaf taras jaoge wafa ke liye

wo jaan kar mujhe tanha meri nahin sunte
kahan se laun zamane ko iltija ke liye

mere jale hue tinkon ki garmiyan tauba
khula hua hai gareban-e-gul hawa ke liye

mariz kitna tha khuddar jaan tak de di
magar zaban na khuli arz-e-muddaa ke liye

wo ibtida-e-mohabbat wo ehtiyat-e-kalam
banae jate the alfaz iltija ke liye

zara mariz-e-mohabbat ko tum bhi dekh aao
ki mana karte hain ab chaaragar dawa ke liye

'qamar' nahin hai wafadar khair yunhi sahi
huzur aur koi dhundh len wafa ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close