ye sahn-o-rawish ye shams-o-qamar ye dasht-o-bayaban kuchh bhi nahin juz apni had-e-parwaz nazar ai dida-e-hairan kuchh bhi nahin hai mujh se wujud-e-hast-o-adam yun hast-o-adam hain la yani ye zist ka saman kuchh bhi nahin ye umr-e-gurezan kuchh bhi nahin ai dast-e-junun hai aar tujhe kyun meri qaba-e-hasti se main chaak-e-jigar ka qail hun ye chaak-e-gareban kuchh bhi nahin shamil hai sarisht-e-insan mein tul-e-shab-e-gham ka unsur bhi ye sham-e-firaq-e-gham-agin subh-e-shab-e-hijran kuchh bhi nahin kina hai tujhe kis daulat se is daman-e-hasti mein kya hai juz wada-e-rabb-e-kaun-o-makan ai gardish-e-dauran kuchh bhi nahin ek rah pe mujh ko chhod diya manzil ka pata kuchh bhi na diya is bab ki main tamhid bana jis bab ka unwan kuchh bhi nahin qassam-e-azal ne to bakhshi aadam ko mata-e-izz-o-sharf ai gardish-e-dauran ye to bata kya azmat-e-insan kuchh bhi nahin fitrat hai meri kuchh is darja manus-e-haqiqat ai gulchin taqrib-e-bahaaran kuchh bhi nahin takhrib-e-gulistan kuchh bhi nahin sahba-e-giranmaya hai ata maddah-e-mai-khuddari hun ai jam-o-subu ke shaidai ye khwahish-e-arzan kuchh bhi nahin kya sharh-e-nigah-e-dost karun dekha hi nahin kuchh is ke siwa hota hai inayat dard bahut aur dard ka darman kuchh bhi nahin wo kashti-e-dil hi dub chuki jo zist ka hasil thi 'farhat' ab rahat-e-sahil kuchh bhi nahin ab shorish-e-tufan kuchh bhi nahin