ye shahr-e-rafiqan hai dil-e-zar sambhal ke

ye shahr-e-rafiqan hai dil-e-zar sambhal ke
milte hain yahan log bahut rup badal ke

aariz hain ki murjhae hue phul kanwal ke
aankhen hain ki jhulse hue khwabon ke mahal ke

chehra hai ki hai aaina-e-gardish-e-dauran
shahkar hain kya kya mere naqqash-e-azal ke

farhad sar-e-dar hai shirin sar-e-bazar
badle nahin ab tak magar andaz ghazal ke

aae hain gham-e-ishq mein aise bhi maqamat
dil khun hua aankh se aansu bhi na dhalke

duniya bhi ek aamaj-gah-e-husn hai 'shair'
dekho to zara hajla-e-jaanan se nikal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close