ye sitam aur ki hum phul kahen Khaaron ko

ye sitam aur ki hum phul kahen kharon ko
is se to aag hi lag jae saman-zaron ko

hai abas fikr-e-talafi tujhe ai jaan-e-wafa
dhun hai ab aur hi kuchh tere talab-garon ko

tan-e-tanha hi guzari hain andheri raaten
hum ne ghabra ke pukara na kabhi taron ko

na-gahan phut pade raushniyon ke jharne
ek jhonka hi uda le gaya andhiyaron ko

sare is daur ki munh bolti taswiren hain
koi dekhe mere diwan ke kirdaron ko

nala-e-akhir-e-shab kis ko sunaun 'nasir'
nind pyari hai mere daur ke fankaron ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close