ye umr musibat ki basar ho ke rahegi

ye umr musibat ki basar ho ke rahegi
jab sham hui hai to sahar ho ke rahegi

afsurdagi-e-dil gul-e-tar ho ke rahegi
aah-e-sahari baad-e-sahar ho ke rahegi

khud un ke taghaful ki inayat se kisi din
un ko meri haalat ki khabar ho ke rahegi

wo barq-e-tajalli jo abhi kaba-e-dil hai
ek roz wo masjud-e-nazar ho ke rahegi

ya qabil-e-sajda hi rahega na dar-e-husn
ya meri jabin qabil-e-dar ho ke rahegi

sairab nazar hogi meri ya gul-e-tar se
ya khatm bahaar-e-gul-e-tar ho ke rahegi

ab un ki jafaen nazar-andaz na hongi
ab meri wafa madd-e-nazar ho ke rahegi

jo ghaflat-e-azadi-e-gulshan mein kategi
us raat ki zindan mein sahar ho ke rahegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close