yun khul gaya hai raaz-e-shikast-e-talab kabhi

yun khul gaya hai raaz-e-shikast-e-talab kabhi
aankhon se bah gaya hai lahu be-sabab kabhi

viraniyon ne tham liya daman-e-hayat
hum log bhi the khanda-e-bazm-e-tarab kabhi

jo log aaj zinat-e-khwab-o-khayal hain
rahte the sath sath mere roz-o-shab kabhi

aawara aaj surat-e-barg-e-khizan mile
milti thi jin se baad-e-saba ba-adab kabhi

ek ek samt jin ko bagule uda gae
yakja na ho sakenge wo auraq ab kabhi

tark-e-talluqat hai phir bhi thithuk gae
guzre hain mere pas se ho kar wo jab kabhi

mohlat kuchh aur kashmakash-e-intizar de
aa jae kuchh khayal use kya ajab kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close