yun na begana raho git sunati hai hawa

yun na begana raho git sunati hai hawa
dil ki sargoshi suno git sunati hai hawa

zindagi saz hai is saz pe naghme chhedo
tum bhi kuchh khwab buno git sunati hai hawa

raat ke pichhle pahar khwab-libaada taj kar
aaj tum khud se milo git sunati hai hawa

rah mein aaengi chattanen bahut si lekin
mauj ke sath baho git sunati hai hawa

shab ke sahil pe kai jugnu dikhai denge
koi ghamgin na ho git sunati hai hawa

aisi chahat mein nahin koi qabahat lekin
apna bhi dhyan rakho git sunati hai hawa

khushbuon ko koi taqsim kahan kar paya
sarhaden tod bhi do git sunati hai hawa

manzilen badh ke tere qadmon ka bosa lengi
ye safar tai to karo git sunati hai hawa

thak ke jo baithe to toli se bichhad jaoge
aage hi badhte chalo git sunati hai hawa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close