yun sisakta mujhe tum chhod na jao aao aakhiri waqt hai ai jaan-e-man aao aao sohbat-e-lutf mein lo nam na ghairon ka kabhi dil mein aashiq ke na tum aag lagao aao be-bane hi bahuton ko hai bigada is ne apni kakul ko bahut ab na banao aao pi bhi lo rahne do kausar ki kahani zahid aisi be-par ki na yaron se udao aao 'kaifi' chhodo bhi kahin ku-e-butan ki ye dhun chain aaram dil-o-din na ganwao aao