yun to is jalwa-gah-e-husn mein kya kya dekha

yun to is jalwa-gah-e-husn mein kya kya dekha
jab tujhe dekh chuke koi na tujh sa dekha

jab teri dhun mein kahin lala-e-sahra dekha
hum ye samjhe ki tera naqsh-e-kaf-e-pa dekha

tare tute to faza mein teri aahat gunji
chand nikla to tera chehra-e-zeba dekha

shahr-e-aghyar sahi itni khushi kya kam hai
hum ne dekha tujhe aur anjuman-ara dekha

hum ko thukra ke kuchh aise tere tewar badle
jab sar-e-bazm bhi dekha tujhe tanha dekha

hum to samjhe the qayamat hai firaq-e-mahbub
tujh se mil kar bhi magar hashr hi barpa dekha

subh jab dhup ke chashme se naha kar nikli
hum ne aaina badal tera sarapa dekha

bijliyan ab to tere abr-e-karam ki barsen
umr-bhar apne sulagte ka tamasha dekha

hum jo bhatke bhi to kis shan-e-wafa se bhatke
hum ne har laghzish-e-pa mein tera ima dekha

hum ba-in tira-nasibi na bane tira-nazar
hum ne har raat ki chitwan mein sitara dekha

teri qudrat ki siyasat na samajh mein aai
haram-o-dair ko har daur mein yakja dekha

aankh kholi to jahan kan-e-jawahar tha 'nadim'
hath phailae to har chiz ko anqa dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close