yun to shumar us ka mere bhaiyon mein tha

yun to shumar us ka mere bhaiyon mein tha
main tha lahu lahu wo tamashaiyon mein tha

chehre se main ne gham ki lakiren mita to din
lekin jo karb ruh ki gahraiyon mein tha

wo hausla ki pher de jo aandhiyon ke rukh
wo hausla abhi meri paspaiyon mein tha

deta hai roz ek naya ilzam aaj-kal
pahle wo shakhs bhi mere shaidaiyon mein tha

kahte hain ek main na tha badnam shahr mein
charcha tere bhi nam ka ruswaiyon mein tha

'irfan' wo kam-nasib ki tha jaan-e-anjuman
yaron ke beach rah ke bhi tanhaiyon mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close