yun uTha de hamare ji se gharaz

yun utha de hamare ji se gharaz
ho na tere siwa kisi se gharaz

wo manaega jis se ruthe ho
hum ko minnat se aajizi se gharaz

ye bhi ehsan hai qanaat ka
apni atki nahin kisi se gharaz

ye mahal bhi maqam-e-ibrat hai
aadmi ko ho aadmi se gharaz

dard-mandon ko kya dawa se kaam
gham-nasibon ko kya khushi se gharaz

husn aaraishon ka ho muhtaj
us ko aaine aarsi se gharaz

chur hain nashsha-e-mohabbat mein
mai se matlab na mai-kashi se gharaz

der tak did ke maze lute
khub nikli ye be-khudi se gharaz

be-niyazi ki shan hi ye nahin
us ko bandon ki bandi se gharaz

teri khatir aziz hai warna
mujh ko dushman ki dosti se gharaz

hum mohabbat ke bande hain waiz
hum ko kya bahs mazhabi se gharaz

dair ho kaba ho kalisa ho
us ki dhun us ki bandagi se gharaz

shaikh ko is qadar pilate kyun
mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz

us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shairi se gharaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close