zaban par shikwa-e-dar-o-rasan laya nahin jata jo apna haal hai duniya ko dikhlaya nahin jata badi mushkil se milta hai junun-e-ashiqi yaro jise pa kar khirad ki god mein jaya nahin jata raza-e-dost mein kuchh in-o-an baqi nahin rahta mohabbat ka koi farman thukraya nahin jata kisi se zilm-e-be-ja ki shikayat ho to kyunkar ho sitam ye hai ki apna dil bhi apnaya nahin jata jafa-pesha hasinon se wafa ki kya tawaqqo hai magar dil ko kisi unwan samjhaya nahin jata khirad ki baat se aage tayyun se bahut baala tasawwur aap kar bhi len to wo aaya nahin jata hazaron bar musa tur par jaen to kya hasil ye wo jalwa hai jo har bar dikhlaya nahin jata wahan pahuncha khuda ka ek banda aan-e-wahid mein jahan insan kya insan ka saya nahin jata 'nazar' ki ek jumbish par mata-e-hosh lutti hai jo is manzil mein khoya hai use paya nahin jata