zahiran maut hai qaza hai ishq par haqiqat mein jaan-faza hai ishq deta hai lakh tarah se taskin maraz-e-hijr mein dawa hai ishq ta-dam-e-marg sath deta hai ek mahbub-e-ba-wafa hai ishq dekh 'nassakh' gar na hota kufr kahte be-shubah hum khuda hai ishq