zakhm dil ka khun-chakan aisa na tha ab se pahle jaan-sitan aisa na tha larza-bar-andam hai qasr-e-yaqin aadmi said-e-guman aisa na tha phuljhadi si chhutti thi raat-din shahr-e-jaan tira-nishan aisa na tha phul jo the aarzu ke jal gae shoala shoala gulistan aisa na tha zist ki rah mein balaen thin magar mere sar par aasman aisa na tha shakh-e-gul thi titliyon ke par bhi the gulshan-e-dil be-aman aisa na tha