zalzale ka KHauf tari hai dar-o-diwar par

zalzale ka khauf tari hai dar-o-diwar par
jabki main baitha hua hun kanpte minar par

han isi raste mein hai shahr-e-nigar-e-arzu
aap chalte jaiye mere lahu ki dhaar par

phir uda lai hawa mujh ko jalane ke liye
zard patte chand sukhi tahniyan do-chaar par

tair-e-takhil ka sara badan aazad hai
sirf ek patthar pada hai shisha-e-minqar par

waqt ka dariya to in aankhon se takraata raha
apne hisse mein na aaya lamha-e-didar par

sara pani chhagalon se aablon mein aa gaya
chilchilati dhup ke jalte hue israr par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close