zalzalon ne kiya yun shahr ko mismar ki bas

zalzalon ne kiya yun shahr ko mismar ki bas
chikh uthe khauf se baam-o-dar-o-diwar ki bas

barishen le gai hain sara asasa mera
mehrban itna hua abr-e-guhar-bar ki bas

ab kisi dil mein nahin mimbar-o-mehrab ka khabt
aise badnam hue jubba-o-dastar ki bas

itni mai bhi na mili hont zara tar karte
apni taqdir pe wo roe hain mai-khwar ki bas

shahr-e-takhrib mein kya khwahish tamir karen
aise taraj hue kucha-o-bazar ki bas

ab ke khurshid ne barsai hai wo tariki
sar-barahna nikal aai hai shab-e-tar ki bas

zulm wo zulm ajal dhundhti phirti hai panah
sabr wo sabr ki sharminda hai aazar ki bas

yar-o-aghyar ne dekha hai tajjub se bahut
'mohsin'-ehsan pe thi wo tiron ki bauchhaar ki bas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close