zamana guzra hai lahron se jang karte hue

zamana guzra hai lahron se jang karte hue
kabhi to par lagun dubte ubharte hue

bade hi shauq se ek aashiyan banaya tha
main kaise dekhun use tutte bikharte hue

kabhi to zehn ke parde pe naqsh ubhrega
ye sochta hun tasawwur mein rang bharte hue

har ek maqam pe tufan ne daboch liya
jahan jahan bhi chhupa aandhiyon se darte hue

wo bund bund qayamat wo nur nur badan
kisi ne dekha hi kab hai use sanwarte hue

wo meri zat se ab bad-guman nahin shayad
tabhi to dekh nahin sakta mujh ko marte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close