zamana meri tabahi pe jo udas hua

zamana meri tabahi pe jo udas hua
main apne aap se ai dost ru-shanas hua

mere khulus ke phulon se jo udi khushbu
tumhaare tanz ka mausam bhi bad-hawas hua

jamal-e-sehn-e-gulistan hamin se qaem hai
hamare khun se har phul khush-libas hua

akela ped hi mausam ka war sahta raha
shikasta-barg bhi koi na aas-pas hua

kabhi jo tuta sitara kisi ko aaya nazar
to bazm-e-ghair mein mera hi zikr-e-khas hua

safir-e-subh-e-darakhshan chala jo mashriq se
dayar-e-shab ka shahanshah bad-hawas hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close