zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de

zamin di hai to thoda sa aasman bhi de
mere khuda mere hone ka kuchh guman bhi de

bana ke but mujhe binai ka azab na de
ye hi azab hai qismat to phir zaban bhi de

ye kaenat ka phailaw to bahut kam hai
jahan sama sake tanhai wo makan bhi de

main apne aap se kab tak kiya karun baaten
meri zaban ko bhi koi tarjuman bhi de

falak ko chand-sitare nawazne wale
mujhe charagh jalane ko saeban bhi de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close