zamin ka dam nikalta ja raha hai khuda ka kaam chalta ja raha hai ye kin hathon mein suraj aa gaya hai chhaton se din pighalta ja raha hai parinde mumtiyon pe ro rahe hain shajar har ghar se katta ja raha hai ajab sa wahm dil pe jam gaya hai badan sae se ghatta ja raha hai hawa bhi sard hoti ja rahi hai samundar bhi utarta ja raha hai jo sunte hain wo gum jata hai fauran jo likhte hain wo mitta ja raha hai