zamin ke chand-sitaron ko nind aati hai

zamin ke chand-sitaron ko nind aati hai
hayat-bakhsh bahaaron ko nind aati hai

abhi chaman ka muqaddar chamak nahin sakta
abhi chaman ki bahaaron ko nind aati hai

janaza ashkon ka palkon ke dosh par hai abhi
isi liye to nazaron ko nind aati hai

nizam-e-bazm-e-gulistan badal gaya shayad
chaman ki god mein kharon ko nind aati hai

ab inqilab-e-zamana ki fikr kaun kare
teri nigah ke maron ko nind aati hai

na dub jae kahin nabz-e-zindagi 'maikash'
sahar ka waqt hai taron ko nind aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close