zamin ke zaKHm ko pahle rafu kiya jae

zamin ke zakhm ko pahle rafu kiya jae
phir us ke baad darida falak siya jae

hamara aks agar darmiyan na hail ho
to aaine ko gale se laga liya jae

ye zindagi to purani sharab jaisi hai
ye kadwa ghunt hai lekin ise piya jae

jo raftagan hain unhen laut kar nahin aana
ab intizar ka bistar utha diya jae

tumhaari yaad ne shab-khun marna hai to kya
dil-o-dimagh se pahra hata diya jae

hamare sar pe jo tuta hai aasman to kya
ab aasman ko sar par utha liya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close