zang-KHurda lab achanak aaftabi ho gae

zang-khurda lab achanak aaftabi ho gae
us gul-e-khush-rang ko chhu kar gulabi ho gae

is ghazal par aayat-e-paighambari utri hai kya
log kahte hain ki sab misre sahabi ho gae

jhumne lagte hain us ko dekhte hi bagh mein
aise lagta hai parinde bhi sharabi ho gae

ab to mujh par bhi nahin khulta hai darwaza mera
tum to aate hi mere kamre ki chabi ho gae

dost aadam-khor chidiyon se abhi hai wasta
kya karunga jab kabutar bhi uqabi ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close