zara si raat aur itna sawab kafi hai

zara si raat aur itna sawab kafi hai
meri nazar ko faqat tera khwab kafi hai

main chahti nahin mujh ko waraq waraq likh de
sar-waraq hai jo ek intisab kafi hai

main kya karungi ye itni kahaniyan le kar
mere liye to faqat ek kitab kafi hai

main apni pyas ko mahsus kar ke jiti hun
samundaron ki talab kya sarab kafi hai

main tujh se milti hun 'farhat' to khauf aata hai
ki mujh pe tera purana hisab kafi hai

nahin hain lafz mayassar to phir tassur bhej
kisi bhi shakl mein ho ek jawab kafi hai

khayal-e-yar kahan hai koi batae use
mere liye wahi khana-kharab kafi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close