zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka

zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka
jam-e-mai ban gaya ek mast-e-khud-arai ka

ji mein aata hai ki phulon ki uda dun khushbu
rang uda lae hain zalim teri ranai ka

main abhi un ko shanasa-e-mohabbat kar dun
kash mauqa to mile un se shanasai ka

bhul jaoge yahan aa ke tum apna aalam
tum ne dekha nahin gosha meri tanhai ka

tum ne kaba to banaya hai 'sharaf' ke dil ko
hukm is kabe mein do sab ko jabin-sai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close