zarra harif-e-mehr darakhshan hai aaj kal qatre ke dil mein shorish-e-tufan hai aaj kal sad-jalwa be-hijab khiraman hai aaj kal sahma hua sa gumbad gardan hai aaj kal aansu mein aks-e-naqsha-e-dauran hai aaj kal simta hua sa aalam-e-imkan hai aaj kal barham mizaj-e-fitarat-e-insan hai aaj kal kis makhmase mein ghairat-e-yazdan hai aaj kal qismat ki tirgi ki kahani na puchhiye subh-e-watan bhi sham-e-ghariban hai aaj kal shiraaza-e-ummid shikasta hai in dinon jamiyat-e-khayal pareshan hai aaj kal hai ek nigah-e-mehr ki 'wasif' ko aarzu 'wasif' ka dil shikasta o viran hai aaj kal