zer-e-zamin rahun ki tah-e-asman rahun

zer-e-zamin rahun ki tah-e-asman rahun
ai justuju-e-yar bata main kahan rahun

masruf-e-shukr-e-nemat-e-pir-e-mughan rahun
allah mujh ko yun hi pilae jahan rahun

ghul kar bhi jaanib-e-dar-e-pir-e-mughan rahun
mauj-e-sharab-e-nab banun aur rawan rahun

ya-rab hariq-e-shoala-e-ishq-e-butan rahun
dozakh ki aag le ke muqim-e-jinan rahun

zalim ye bazm-e-husn ka achchha riwaj hai
tu shama ho ke bhi na jale main tapan rahun

ai chashm-e-yar maut ka pahlu bacha ke tu
aisi nigah dal ki main nim-jaan rahun

aab-e-hayat pi ke khizar kya yahan rahe
main than lun to kuchh na piyun aur yahan rahun

ban jaen meri tarz-e-fana ki kahaniyan
aisa mita ki sahib-e-nam-o-nishan rahun

saqi wo khas-taur ki talim de mujhe
us mai-kade mein jaun to pir-e-mughan rahun

'muztar' wajud-e-zat ne ghar tak bhi le liya
jab khud wo har jagah hai to ab main kahan rahun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close