zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka

zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka
waizo dhoka na do insan ko taqdir ka

apni sannai ki tujh ko laj bhi hai ya nahin
ai musawwir dekh rang udne laga taswir ka

aap kyun ghabra gae ye aap ko kya ho gaya
meri aahon se koi rishta nahin tasir ka

dil se nazuk shai se kab tak ye harifana suluk
dekh shisha tuta jata hai teri taswir ka

har nafas ki aamad-o-shud par ye hoti hai khushi
ek halqa aur bhi kam ho gaya zanjir ka

farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijab
warna main aks-e-mukammal hun teri taswir ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close