zindagi ka kis liye matam rahe

zindagi ka kis liye matam rahe
mulk basta hai mite ya hum rahe

dil rahe piri mein bhi tera jawan
aakhiri dam tak yahi dam-kham rahe

chahiye insan ka dil ho ghani
pas mal o zar bahut ya kam rahe

kya isi jannat ki ye tahris hai
jis mein kuchh din hazrat-e-adam rahe

wasl se matlab na rakh tu ishq ka
dam bhare ja dam mein jab tak dam rahe

lag ek din ban ke rahti hai lagaw
han lagawat kuchh na kuchh baham rahe

ishq ne jis dil pe qabza kar liya
phir kahan us mein nashat o gham rahe

sharq se jab nur chamka to kahan
barg-e-gul par qatra-e-shabnam rahe

husn ki duniya ka hai daem shabab
hashr tak us ka yahi aalam rahe

hai surur-e-husn 'kaifi' la-yazal
dar-khur-e-zarf us mein besh o kam rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close